Husna - Piyush Mishra
Lahore ke uss Pehle jile ke Do pargana mein pahunche Resham gali ki Dooje kuche ke Chauthe makaan mein pahunche Aur kehte hai jisko Dooja mulk uss Pakistan mein pahunche Likhta hun khat mein Hindustan se Pehlu e Husna mein pahunche O Husna Main to hun baitha O Husna meri Yaadon purani mein khoya Main to hun baitha O Husna meri Yaadon purani mein khoya Pal pal ko ginta Pal pal ko chunta Beeti kahani mein khoya Patte jab jhadte Hindustan mein Yaadien tumhari ye bolein Hota ujala, Hindustan mein, batein tumhari ye bolein O Husnaa meri yeh to batado Hota hai aisa kya Uss gulistan mein Rehti ho nanhee kabutar see gum tum jahaan O Husna Patte kya jhadte hain Pakistan mein Vaise hi jaise jhadte yahaan O Husna Hota ujala kya vaisa hi hai Jaisa hota Hindustan mein haan O Husna Woh heeron ke ranjhe Ke nagmein mujhko Ab tak aa aake sataien Woh Bulley Shah ki Takriro ki, jheene jheene saaye Woh Id ki iddi Lambi namazey Seyvaiyon ki jhaale Woh Diwali key diye sang mein Baisakhi ke badal Holi ...